Yasin Ali Khan Markaz

ajab bhul o hairat jo maKHluq ko hai

Yasin Ali Khan Markaz

ajab bhuul o hairat jo maḳhlūq ko hai
ḳhudā kī talab shirk kī justujū hai
sharāb-e-mohabbat meñ maḳhmūr huuñ maiñ
piyāla bharā hai mulabbab subū hai
pata ek kā do meñ kyuuñ kar milegā
jo kasrat fanā ho to ḳhud tū hī tū hai
nahīñ ġhair koī tashaḳhḳhus kā parda
man-o-tū faqat ġhair kī guftugū hai
hai ḳhud aap maujūd har yak sifat se
judā.ī nahīñ is meñ kuchh mū-ba-mū hai
sifat bast-o-qābiz kī tuḳhm-o-shajar hai
jo bū hai so gul hai jo gul hai so bū hai
vo pīr-e-tarīqat hai kāmil usī ko
ḳhudā is ke har aan meñ rū-ba-rū hai
vajūd ek hai sūrat us kī muġhayyar
hai jalva usī kā na maiñ aur tū hai
tū 'markaz' hai aalam meñ paidā-o-zāhir
banāyā banātā hai jo kuchh ki tū hai
Top Urdushayar.com