phuul jaisī hai kabhī ye ḳhaar kī mānind hai
zindagī sahrā kabhī gulzār kī mānind hai
tum qalam kī dhaar ko kam mat samajhnā dosto
ye qalam to hai magar talvār kī mānind hai
chaar din ke vāste sab ko milī hai dahr meñ
zindagī bhī ret kī dīvār kī mānind hai
paas paisa hai nahīñ phir bhī jahāñ meñ mast huuñ
zindagī apnī kisī fankār kī mānind hai
zindagī kis vaqt dhokā de de 'ambar' kyā patā
ye bhī lagtā hai kisī ġhaddār kī mānind hai