ġham-e-ulfat meñ Duube the ubharnā bhī zarūrī thā
hameñ rāh-e-mohabbat se guzarnā bhī zarūrī thā
haqīqat sāmne aa.ī bahut hairat huī mujh ko
tire chehre se parde kā utarnā bhī zarūrī thā
hameñ manzil ko paanā thā tabhī to rāh-e-hastī meñ
hameñ pathrīle rastoñ se guzarnā bhī zarūrī thā
luTāte hī rahe jo kuchh bhī apne paas thā yaaro
ki ḳhushbū kī tarah apnā bikharnā bhī zarūrī thā
hameñ vo bhuul baiThe haiñ unheñ phir yaad kyā karnā
unheñ rāh-e-mohabbat meñ bisarnā bhī zarūrī thā
hamārī zindagī meñ hādse hote rahe 'ambar'
unheñ sahte hue apnā nikharnā bhī zarūrī thā