is se pahle ki kuchh bolā jaa.e
baat ko zehn meñ tolā jaa.e
raaz phir raaz nahīñ rahtā hai
rāz-e-dil sab se na kholā jaa.e
aib kitne hī dikheñge ham ko
apne man ko jo TaTolā jaa.e
man kī parvāz bahut hai ūñchī
duur tak man kā hiñDolā jaa.e
rishte bante haiñ madhur tab 'ambar'
pyaar kā rañg jo gholā jaa.e