Mansoor Usmani

TuT jata hai sitaron ka bharam raat gae

Mansoor Usmani

1954
TuuT jaatā hai sitāroñ kā bharam raat ga.e
jagmagāte haiñ tire naqsh-e-qadam raat ga.e
kyā batā.eñ jo guzartī hai hamāre dil par
yaad aate haiñ jab apnoñ ke sitam raat ga.e
ġharq ho jaatī hai jab niiñd meñ saarī duniyā
jaag uThte haiñ adīboñ ke qalam raat ga.e
roz aate haiñ sadā de ke chale jaate haiñ
dil ke darvāze pe kuchh ahl-e-karam raat ga.e
rok letī hai tirī yaad sahārā ban kar
Dagmagāte haiñ agar mere qadam raat ga.e
jin kī ummīd meñ ham din ko jiyā karte haiñ
TuuT jaate haiñ vahī qaul-o-qasam raat ga.e
jin kī qismat meñ nahīñ din kā ujālā 'mansūr'
un charāġhoñ meñ jalā karte haiñ ham raat ga.e
Top Urdushayar.com