duniyā samajh rahī hai ki patthar uchhāl aa.e
ham apnī pyaas jā ke samundar meñ Daal aa.e
jo phāñs chubh rahī hai diloñ meñ vo tū nikāl
jo paañv meñ chubhī thī use ham nikāl aa.e
kuchh is tarah se zikr-e-tabāhī sunā.iye
āñkhoñ meñ ḳhuun aa.e na shīshe meñ baal aa.e
samjho ki zindagī kī vahīñ shaam ho ga.ī
kirdār bechne kā jahāñ bhī savāl aa.e
guzro dayār-e-fikr se 'mansūr' is tarah
ḳhud par zavāl aa.e na fan par zavāl aa.e