āñkhoñ se mohabbat ke ishāre nikal aa.e
barsāt ke mausam meñ sitāre nikal aa.e
thā tujh se bichhaḌ jaane kā ehsās magar ab
jiine ke liye aur sahāre nikal aa.e
maiñ ne to yūñhī zikr-e-vafā chheḌ diyā thā
be-sāḳhta kyuuñ ashk tumhāre nikal aa.e
jab maiñ ne safīne meñ tirā naam liyā hai
tūfān kī bāhoñ se kināre nikal aa.e
ham jaañ to bachā laate magar apnā muqaddar
is bhiiḌ meñ kuchh dost hamāre nikal aa.e
jugnū inheñ samjhā thā magar kyā kahūñ 'mansūr'
muTThī ko jo kholā to sharāre nikal aa.e