Mansoor Usmani

is shahr mein chalti hai hawa aur tarah ki

Mansoor Usmani

1954
is shahr meñ chaltī hai havā aur tarah kī
jurm aur tarah ke haiñ sazā aur tarah kī
is baar to paimāna uThāyā bhī nahīñ thā
is baar thī rindoñ kī ḳhatā aur tarah kī
ham āñkhoñ meñ aañsū nahīñ laate haiñ ki ham ne
paa.ī hai virāsat meñ adā aur tarah kī
is baat pe nārāz thā saaqī ki sar-e-bazm
kyuuñ aa.ī piyāloñ se sadā aur tarah kī
is daur meñ mafhūm-e-mohabbat hai tijārat
is daur meñ hotī hai vafā aur tarah kī
shabnam kī jagah aag kī bārish ho magar ham
'mansūr' na māñgeñge duā aur tarah kī
Top Urdushayar.com