Mansoor Usmani

main hun KHamosh magar bol raha hai mujh mein

Mansoor Usmani

1954
maiñ huuñ ḳhāmosh magar bol rahā hai mujh meñ
aisā lagtā hai koī aur chhupā hai mujh meñ
mujh se dillī kī nahīñ dil kī kahānī suniye
shahr to ye bhī ka.ī baar luTā hai mujh meñ
tujh ko chāhat hai vafā kī to mujhe ġhaur se paḌh
vo kitāboñ meñ kahāñ hai jo likhā hai mujh meñ
muskurātā huā maqtal se guzar aayā huuñ
zindagī terī koī ḳhaas adā hai mujh meñ
ye alag baat ki alfāz haiñ mere lekin
sach to bas ye hai ki terī hī sadā hai mujh meñ
mere sheroñ se bikhar sakte haiñ us ke gesū
terā andāz bhī ai bād-e-sabā hai mujh meñ
laakh ḳhāmosh sahī saarī fazā.eñ 'mansūr'
bolne vaalā magar bol rahā hai mujh meñ
Top Urdushayar.com