Mansoor Usmani

hain ek saf mein qalandar bhi main bhi duniya bhi

Mansoor Usmani

1954
haiñ ek saf meñ qalandar bhī maiñ bhī duniyā bhī
sitam-zada bhī sitamgar bhī maiñ bhī duniyā bhī
ḳhudā ke naam pe kyā kyā fareb dete haiñ
zamāna-sāz ye rahbar bhī maiñ bhī duniyā bhī
vo ek lamha ki ham sab lipaT ke ro.e the
udaas raat kā manzar bhī maiñ bhī duniyā bhī
duā.eñ māñgte rahte haiñ tujh se milne kī
udaas udaas mirā ghar bhī maiñ bhī duniyā bhī
safar pe nikle to akasr bhaTak ga.e jānāñ
tumhārī yaad ke lashkar bhī maiñ bhī duniyā bhī
ġhazal ke sāñche meñ Dhalte haiñ TuuT jaate haiñ
vafā kī raah ke patthar bhī maiñ bhī duniyā bhī
judā judā haiñ magar phir bhī saath haiñ 'mansūr'
mohabbatoñ ke samundar bhī maiñ bhī duniyā bhī
Top Urdushayar.com