Faheem Shanas Kazmi

barg-e-sada ko lab se uDe der ho gai

Faheem Shanas Kazmi

Sindh, Pakistan

1965

barg-e-sadā ko lab se uḌe der ho ga.ī

ham ko bhī ab to ḳhaak hue der ho ga.ī

ab sāhiloñ pe kis ko sadā de rahe ho tum

lamhoñ ke bādbān khule der ho ga.ī

ai husn-e-ḳhud-parast zarā soch to sahī

mehr-o-vafā se tujh ko mile der ho ga.ī

terā visāl ḳhair ab ik vāqi.a huā

ab apne-āp se bhī mile der ho ga.ī

sadiyoñ ret Dhāñp kar āsūda ho ga.e

sar ko hamāre tan se kaTe der ho ga.ī

sarsar ho sabā ho ki hoñ tez āñdhiyāñ

ham ko fasīl-e-shab pe jale der ho ga.ī

terī galī ke moḌ pe pahuñche the jald ham

par tere ghar ko aate hue der ho ga.ī

ik daur thā 'shanās' sadā thī mirī buland

aur ab to mere hoñT sile der ho ga.ī

Top Urdushayar.com