ḳhud āp-apnī zad meñ sitam-gar bhī aa.egā
tum muntazir raho ki ye manzar bhī aa.egā
is ret ke nagar ko na ghabrāo dekh kar
aage baḌho ki ek samundar bhī aa.egā
ḳhushbū kā qāfila ye bahāroñ kā silsila
pahuñchā hai shahr tak to mire ghar bhī aa.egā
chalte ho mere saath to itnā bhī soch lo
rāhoñ meñ merī ġham kā samundar bhī aa.egā
maqtal ko jā rahā huuñ ye 'mansūr' soch kar
chhīñTā koī lahū kā to un par bhī aa.egā