kyuuñ maiñ haa.il ho jaatā huuñ apnī hī tanhā.ī meñ
varna ik pur-lutf samāñ hai ḳhud apnī gahrā.ī meñ
fitrat ne atā kī hai be-shak mujh ko bhī kuchh aqal-e-salīm
kaun ḳhalal-andāz huā hai merī har dānā.ī meñ
jhuuT kī namkīnī se bātoñ meñ aa jaatā hai mazā
koī nahīñ letā dilchaspī phīkī sī sachchā.ī meñ
apne the begāne the aur āḳhir meñ ḳhud merī zaat
kis kis kā ikrām huā hai kitnā mirī rusvā.ī meñ
badle badle lagte ho hai chehre par anjānā-pan
yā vaqt ke hāthoñ farq aayā merī hī bīnā.ī meñ
sunñe vāloñ ke chehroñ par surḳh lakīroñ ke haiñ nishāñ
ḳhūnī sochoñ kī āmezish hai naġhmoñ kī shahnā.ī meñ
sab qadreñ pāmāl huiiñ insāñ ne ḳhud ko masḳh kiyā
qudrat ne kitnī mehnat kī thī apnī bazm-ārā.ī meñ
apnī āgāhī kī un ko hotī nahīñ taufīq kabhī
log ḳhudā ko DhūñD rahe haiñ āfāqī pahnā.ī meñ
duniyā kī dānish-gāhoñ meñ aaj ajab ik bahas chhiḌī
kaun bharose ke qābil hai aaqil aur saudā.ī meñ
jaane kis kirdār kī kaa.ī mere ghar meñ aa pahuñchī
ab to 'zafar' chalnā hai mushkil āñgan kī chiknā.ī meñ