Faheem Shanas Kazmi

dhund mein Dubi sari faza thi uske baal bhi gile the

Faheem Shanas Kazmi

Sindh, Pakistan

1965

dhund meñ Duubī saarī fazā thī us ke baal bhī giile the

jis āñkheñ jhīloñ jaisī jis ke hoñT rasīle the

jis ko kho kar ḳhaak hue ham aaj use bhī dekhā to

hañstī āñkheñ afsurda thiiñ hoñT bhī niile niile the

jin ko chhū kar kitne 'zaidī' apnī jaan gañvā baiThe

mere ahd shahnāzoñ ke jism baḌe zahrīle the

āḳhir āḳhir aisā huā ki terā naam bhī bhuul ga.e

avval avval ishq meñ jānāñ ham kitne joshīle the

āñkheñ bujhā ke ḳhud ko bhulā ke aaj 'shanās' maiñ aayā huuñ

talḳh thiiñ lahjoñ barsāteñ rañg bhī kaḌve-kasīle the

Top Urdushayar.com