jhiil meñ us kā paikar dekhā jaise shola paanī meñ
zulf kī lahreñ pechāñ jaise naag ho lapkā paanī meñ
chāndnī shab meñ us ke pīchhe jab maiñ utrā paanī meñ
chāñdī aur sīmāb lagā thā pighlā pighlā paanī meñ
kitne rañg kī machhliyāñ aa.iiñ lalchātī aur bal khātī
qatra qatra merī ragoñ se ḳhuun jo Tapkā paanī meñ
raushan raushan rañg nirāle kaise nādir kitne habāb
qulzum-e-hastī raqs meñ thā yā ek tamāshā paanī meñ
ek qalandar DhūñD rahā thā chāñd sitāroñ meñ jā kar
us kā ḳhudā to poshīda thā anqā jaisā paanī meñ
mujh ko ye mahsūs huā thā apne ahd kā ḳhizr huuñ maiñ
chupke chupke jab bhī maiñ ne ḳhizr ko DhūñDā paanī meñ
ālā.ish dāġhoñ se bharā ye terā badan ik roz 'zafar'
rahmat kī ghaTā jab barsī thī to saaf huā thā paanī meñ