Zafar Hameedi

tu KHud bhi nahin aur tera sani nahin milta

Zafar Hameedi

Garhwal, Uttarakhand, India

1926
tū ḳhud bhī nahīñ aur tirā saanī nahīñ miltā
paiġhām tirā terī zabānī nahīñ miltā
maiñ biich samundar meñ huuñ aur pyaas se betāb
piine ko to ik buuñd bhī paanī nahīñ miltā
duniyā ke karishmoñ meñ muamma to yahī hai
duniyā ke karishmāt kā baanī nahīñ miltā
merā bhī to ik dost thā ġham bāñTne vaalā
ab dasht-e-balā meñ vahī jaanī nahīñ miltā
jo martā hai jī uThtā hai vo ruup badal kar
mujh ko to yahāñ koī bhī faanī nahīñ miltā
shahkār sī tasvīr mirī koī banātā
bahzād mayassar nahīñ maanī nahīñ miltā
kaabe ke kisī goshe meñ mil jā.egā shāyad
but-ḳhāne meñ firdaus-makānī nahīñ miltā
uslūb purāne haiñ to alfāz haiñ be-rañg
nādir sā 'zafar' tarz-e-lisānī nahīñ miltā
Top Urdushayar.com