maiñ zindagī kā naqsha tartīb de rahā huuñ
phir ik jadīd ḳhāka tartīb de rahā huuñ
har saaz kā tarannum yaksāniyat-numā hai
ik tāza-kār naġhma tartīb de rahā huuñ
jis meñ tirī tajallī ḳhud aa ke jā-guzīñ ho
dil meñ ik aisā gosha tartīb de rahā huuñ
lamhoñ ke silsile meñ jiitā rahā huuñ lekin
maiñ apnā ḳhaas lamha tartīb de rahā huuñ
kitne ajiib qisse likkhe ga.e abhī tak
maiñ bhī anokhā qissa tartīb de rahā huuñ
zarroñ kā hai ye tūfāñ be-chehragī ba-dāmāñ
zarroñ se ek chehra tartīb de rahā huuñ
duniyā ke saare rishte be-ma.anī lag rahe haiñ
ḳhāliq se apnā rishta tartīb de rahā huuñ
pur-pech rāstoñ par chaltā huā 'zafar' maiñ
sīdhā sā ek rasta tartīb de rahā huuñ