Zafar Hameedi

jab bhi wo mujhse mila rone laga

Zafar Hameedi

Garhwal, Uttarakhand, India

1926
jab bhī vo mujh se milā rone lagā
aur jab tanhā huā rone lagā
dostoñ ne hañs ke jab bhī baat kī
vo hañsā phir chup rahā rone lagā
jab bhī mere paañv meñ kāñTā chubhā
patta patta baaġh kā rone lagā
ābyārī ke liye aayā thā kaun
har shajar murjhā gayā rone lagā
chāñd niklā jab moharram kā kahīñ
chup se dasht-e-karbalā rone lagā
us pe kyā biitī hai apne shahr meñ
āshnā nā-āshnā rone lagā
mere dushman kā ravayya thā ajab
jab huā mujh se judā rone lagā
bādaloñ ne aaj barsāyā lahū
amn kā har fāḳhta rone lagā
dekh kar masjid meñ mujh ko muztarib
mere ġham meñ but-kada rone lagā
thā 'zafar' kā ik anokhā mājrā
ġhaur se jis ne sunā rone lagā
Top Urdushayar.com