ai ḳhudā bharam rakhnā barqarār is ghar kā
hai tire karam par hī inhisār is ghar kā
har kivāḌ Duubā hai be-karāñ udāsī meñ
aur har darīcha hī sogvār is ghar kā
phailtī chalī jaa.e bel bad-gumānī kī
ḳhatm hī nahīñ hotā intishār is ghar kā
is jahāñ meñ hogā be-amal na ham jaisā
ham na rakh sake qaa.em e'tibār is ghar kā
kis qadar gunāhoñ ke murtakib hue haiñ ham
jo sukūn luTtā hai baar baar is ghar kā
gard be-yaqīnī kī gar sameT leñ mil kar
mo'tabar gharoñ meñ ho phir shumār is ghar kā
jaan se guzarne kā hausla atā kar de
ab makīñ na ho koī sharmsār is ghar kā