Ikram Mujeeb

aur hi kahin Thahre aur hi kahin pahunche

Ikram Mujeeb

aur hī kahīñ Thahre aur hī kahīñ pahuñche
jis jagah pahuñchnā thā ham vahāñ nahīñ pahuñche
hijr kī masāfat meñ saath tū rahā har dam
duur ho ga.e tujh se jab tire qarīñ pahuñche
tā.er-e-talab kī hai har uḌaan us dar tak
nā-murād dil kā har rāsta vahīñ pahuñche
ruḳh kare idhar kā hī har azaab duniyā kā
āsmāñ se jo utre vo balā yahīñ pahuñche
har dil o nazar meñ ho ik nikhār sā paidā
bad-gumān zehnoñ tak nemat-e-yaqīñ pahuñche
Top Urdushayar.com