maut sī ḳhamoshī jab un laboñ pe taarī kī
tab kahīñ nibhā paa.ī rasm rāzdārī kī
ham abhī nidāmat kī qaid se nahīñ nikle
kāTte haiñ roz o shab fasl be-qarārī kī
bhuul hī nahīñ sakte ai ġham-e-jahāñ tū ne
jis tarah pazīrā.ī umr bhar hamārī kī
kam zarā na hone dī ek lafz kī hurmat
ek ahd kī saarī umr pāsdārī kī
sab anā-parastī kī masnadoñ pe haiñ faa.ez
sar kare kaḌī manzil kaun ḳhāksārī kī
pur-ḳhatar rifāqat vo jo mafād ke taabe
soch be-samar apnī zaat ke pujārī kī
ek dard kī lazzat barqarār rakhne ko
kuchh latīf jazboñ kī ḳhuuñ se ābyārī kī