zahr meñ bujhe saare tiir haiñ kamānoñ par
maut aan baiThī hai jā-ba-jā machānoñ par
ham burā.ī karte haiñ Dūbte hue din kī
tohmateñ lagāte haiñ jā chuke zamānoñ par
is hasīn manzar se dukh ka.ī ubharne haiñ
dhuup jab utarnī hai barf ke makānoñ par
shauq ḳhud-numā.ī kā intihā ko pahuñchā hai
shohratoñ kī ḳhātir ham saj ga.e dukānoñ par
kis tarah harī hoñgī e'timād kī beleñ
jab munāfiqat sab ne oḌh lī zabānoñ par