Shakeela Bano

roz sham hoti hai roz hum sanwarte hain

Shakeela Bano

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1942-2002
roz shaam hotī hai roz ham sañvarte haiñ
phuul sej ke yūñhī sūkhte bikharte haiñ
dil ko toḌne vaale tū kahīñ na rusvā ho
ḳhair tere dāman kī chashm-e-tar se Darte haiñ
sub.h TuuT jaatā hai ā.īna tasavvur kā
raat bhar sitāroñ se apnī maañg bharte haiñ
zor aur kyā chaltā fasl-e-gul meñ kyā karte
bas yahī ki dāman ko taar taar karte haiñ
yā kabhī ye hālat thī zaḳhm-e-dil se Darte the
aur ab ye aalam hai chārāgar se Darte haiñ
yuuñ tire tasavvur meñ ashk-bār haiñ āñkheñ
jaise shabnamistāñ meñ phuul raqs karte haiñ
ḳhuuñ hameñ rulātī hai raah kī thakan 'bāno'
jab hamārī nazroñ se kārvāñ guzarte haiñ
Top Urdushayar.com