samundar aañkh se ojhal zarā nahīñ hotā
nadī ko Dar kisī chaTTān kā nahīñ hotā
vo jab bhī rotā hai maiñ saath saath rotā huuñ
maze kī baat hai us ko patā nahīñ hotā
musāfiroñ ke liye manzileñ hī hotī haiñ
musāfiroñ ke liye rāsta nahīñ hotā
tamāshā-gāh meñ kis kā tamāshā hotā hai
tamāsh-bīnoñ ko us kā patā nahīñ hotā
maiñ roz phone par us ko sadā.eñ detā huuñ
ḳhudā ke saath mirā rābta nahīñ hotā
jahāñ mileñ unheñ sajda guzāriye sāhab
mohabbatoñ ke liye sochnā nahīñ hotā
vahāñ charāġh jalātā huuñ zindagī kā 'ashk'
jahāñ havā ke liye rāsta nahīñ hotā