raste meñ shaam ho ga.ī qissa tamām ho chukā
jo kuchh bhī thā ai zindagī vo tere naam ho chukā
kab kī guzar ga.ī vo shab jis meñ kisī kā nuur thā
kab kī galī meñ dhuup hai jiinā harām ho chukā
phirte raheñ nagar nagar kūcha-ba-kūcha dar-ba-dar
apne ḳhiyām jal chuke apnā salām ho chukā
raat meñ baaqī kuchh nahīñ niiñd meñ baaqī kuchh nahīñ
apnā har ek ḳhvāb to nazr-e-avām ho chukā
us ke laboñ kī guftugū karte rahe subū subū
ya.anī suḳhan hue tamām ya.anī kalām ho chukā
ishq gar aisā ishq hai ā.ankhoñ se bahne do lahū
ziist gar aisī ziist hai apnā to kaam ho chukā
raste tamām ho ga.e us kī galī ke ās-pās
ya.anī ḳhirām ho chukā ya.anī qayām ho chukā