vo jo har dam mire ḳhayāl meñ hai
jaane kis parda-e-jamāl meñ hai
chāhte ho to TuuT kar chāho
ḳhud javāb aap ke savāl meñ hai
haañ mirā fan kamāl ko pahuñchā
ziist lekin mirī zavāl meñ hai
fikr kyā surḳh-rū ho yā TuuTe
dil mirā un kī dekh-bhāl meñ hai
kyā zarūrī hai ham javāb hī deñ
ek talvār chup kī Dhaal meñ hai
un ko fursat kahāñ jo ye socheñ
'bāno' imsāl kis vabāl meñ hai