de ke vo saare iḳhtiyār mujhe
aur kartā hai sharmsār mujhe
zaḳhm tartīb de rahā huuñ maiñ
aur kuchh vaqt de udhār mujhe
pārsā.ī kā zo.am hai un ko
kah rahe haiñ gunāhgār mujhe
fāsle ye simaT nahīñ sakte
ab parāyoñ meñ kar shumār mujhe
dil ke gulshan meñ tum chale aao
aur kar do sadā-bahār mujhe
tark-e-ulfat ke ba.ad bhī 'ashfāq'
terā rahtā hai intizār mujhe