ga.e dinoñ kī raqābat ko vo bhulā na sake
sharīk-e-bazm the lekin nazar milā na sake
azāb-e-hijr ke lamhāt ham bhulā na sake
dayār-e-ġhair meñ ik pal sukūn pā na sake
bahut ba.iid na thā mas.aloñ kā hal honā
anā ke paañv se zanjīr ham haTā na sake
ta.alluqāt meñ had-darja ehtiyāt rahī
qarīb aa na sake vo mujhe bhulā na sake
fareb khā ga.e tab jā ke inkishāf huā
qarīb rah ke bhī ham un ko aazmā na sake