jitnī ham chāhte the utnī mohabbat nahīñ dī
ḳhvāb to de diye us ne hameñ mohlat nahīñ dī
biktā rahtā sar-e-bāzār ka.ī qistoñ meñ
shukr hai mere ḳhudā ne mujhe shohrat nahīñ dī
us kī ḳhāmoshī mirī raah meñ aa baiThī hai
maiñ chalā jaatā magar us ne ijāzat nahīñ dī
ham tire saath tire jaisā ravayya rakhte
dene vaale ne magar aisī tabī.at nahīñ dī
mujh se jo tañg huā maiñ ne use chhoḌ diyā
us ko ḳhud chhoḌ ke jaane kī bhī zahmat nahīñ dī
ham the mohtāt ta.alluq meñ tavāzun rakkhā
pās-e-ulfat rahā had-darja aqīdat nahīñ dī
jis qadar TuuT ke chāhā use ham ne 'ashfāq'
us saḳhī ne hameñ utnī bhī to nafrat nahīñ dī