apnī zamīñ se duur zamān-o-makāñ se duur
ham ne sajā liyā hai qafas āshiyāñ se duur
maanā ki ham vatan se azīzoñ se duur haiñ
tahzīb se judā haiñ na urdu zabāñ se duur
mahsūr tañgnā-e-masālik meñ ham nahīñ
dair-o-haram se duur haiñ kū-e-butāñ se duur
mahsūs kar rahe haiñ vilāyat meñ āj-kal
hindostāñ meñ rahte haiñ hindostāñ se duur
soz-e-yaqīn mish.al-e-rāh-e-hayāt hai
tashkīl se buland haiñ vahm-o-gumāñ se duur
'sultān' asīr-e-zulf hue bhī to kis ke aap
dil se bahut qarīb haiñ aur jism-o-jāñ se duur