Nasir Shahzad

lafzon ki sanglaKH silon mein samo diya

Nasir Shahzad

Okara, Punjab, Pakistan

1937-2007
lafzoñ kī sañglāḳh siloñ meñ samo diyā
yāroñ ne fan ke phuul ko patthar meñ bo diyā
merī haqīqatoñ pe na tū hañs ki tujh ko bhī
jiddat ke shauq ne sar-e-sāhil Dubo diyā
Dastī hai ab bhī dil ko kisī kī ThiThaktī chaap
ik aabjū pe jaltā hai jab shaam ko diyā
kaisā ḳhayāl hai ye kahāñ kī hai tarz-e-fikr
aayā to vo lajā gayā bichhḌā to ro diyā
TuuTī jo gir ke jhiil ke darpan pe ik kiran
mauj-e-sabā ne ruuh meñ kāñTā chubho diyā
kal shab murī kī maal pe linTāT se pare
bārish ne us kā chāñd-sā paikar bhigo diyā
kaise kahūñ ki rut kī kaḌī rau se haar kar
jīvan ke is safar meñ tujhe maiñ ne kho diyā
Top Urdushayar.com