lahū meñ saadh sat ko bhar rahā huuñ
koī hujra charāġhāñ kar rahā huuñ
jhaTak kar dil se saare lobh lālach
yahāñ ban-bās meñ behtar rahā huuñ
azāb-e-āḳhirat kī baat aage
itāb-e-zindagī se Dar rahā huuñ
mirī pahchān merā gyaan hijrat
sadā ausān meñ be-ghar rahā huuñ
koī dekhe na aa kar dāġh-e-hasrat
badan par oḌh kar chādar rahā huuñ
mulavvis thā maiñ har be-rah-ravī meñ
magar ilzām tujh par dhar rahā huuñ
taḌapte tan ko miTTī par girā kar
sar-e-sahrā burīda-sar rahā huuñ
darakte rañg bādal ḳhvāb ḳhushbū
samay kī saj se bahra-var rahā huuñ
Darā huuñ tere ḳhauf-e-be-bahā se
musalle par sar-e-mahshar rahā huuñ
tirī be-e'tinā.ī se gilā kyā
maiñ apne aap par dūbhar rahā huuñ