Nasir Shahzad

rang aur rup ke pardip mein khone de mujhe

Nasir Shahzad

Okara, Punjab, Pakistan

1937-2007
rañg aur ruup ke pardīp meñ khone de mujhe
ḳhud ko chāhat kī chaḌhī rau meñ Dubone de mujhe
tū agar ḳhush hai to jā qāfiya-paimā.ī kar
sher ko ruuh kī laḌiyoñ meñ pirone de mujhe
priit kā ant bichhaḌnā hai magar aur abhī
apnī bāhoñ ke kañval-kund meñ sone de mujhe
chuum kar is ke madhur hoñToñ kī ras-vant laveñ
zehn ko nashshoñ bharī mai se bhigone de mujhe
kashT vājib na sahī kaliyāñ to kāñTe hī qubūl
na.ī rut meñ na.e ehsās ko bone de mujhe
terā rishta hai falak se to zamīñ ko na ujaaḌ
narm miTTī kī mahak man meñ samone de mujhe
'hāfiz'-o-'mīr' se nisbat bhī bajā lekin... ab
ḳhitta-e-pāk kī is ḳhaak kā hone de mujhe
yaad aa jaa.e na jaane use bachpan kī lagan
isī jañgal meñ isī jhiil pe rone de mujhe
husn takrīm sahī chāhatīñ tāzīm sahī
haath ab aap shafaq-tāb meñ dhone de mujhe
Top Urdushayar.com