Nasir Shahzad

aankhon ke aabgine bahe phuT phuT kar

Nasir Shahzad

Okara, Punjab, Pakistan

1937-2007
āñkhoñ ke ābgīne bahe phuuT phuuT kar
yuuñ dil ne tujh se pyaar kiyā TuuT TuuT kar
jañgal sabhī kaTe saje manDap sabhī haTe
rājesh kho ga.e kahīñ rādhā se ruuTh kar
mat kah use naTor nigoḌā niDar sakhī
pī hai mirā maiñ jā.ūñ kahāñ us se chhūT kar
bandhan jagat ke paañv kī zanjīr hī sahī
aa taj ke ye rivāyateñ is sach ko jhuuT kar
jugnū ne is se pūchhā chalī hai kidhar batā
zulfoñ meñ raat chāñdnī chehre pe luuT kar
qarze chukā.e mannateñ uThvā.īñ laa.e log
jab bastiyoñ meñ khetoñ se ye dhaan kuuT kar
gyānī vo giit riit kā shabdoñ kā shubh kavī
rahne de yaar chhoḌ na yuuñ ḳhud ko hoot kar
Top Urdushayar.com