sūraj surḳh dishā meñ utrā
din Duubā dariyā meñ utrā
hotel sabza lawn lab-e-jū
ghirTā abr ghaTā meñ utrā
aT kar gard-e-ma.āsh se ubhre
phaT kar dard duā meñ utrā
shahr-panāh kī galiyāñ jāgīñ
chāñd jo mahal-sarā meñ utrā
so.e oḌh ke maqtal ko ham
dasht-e-balā sahrā meñ utrā
baam pe shaam huī gorī ko
añg kā rañg adā meñ utrā
shāḳh jhukī chehre ke aage
TuuT ke phuul qabā meñ utrā
mare kabhī be-nām hī ham tum
qissa kabhī kathā meñ utrā
dhuup hī dhuup thī is ke mukh par
ruup hī ruup havā meñ utrā