Nasir Shahzad

bekal hai mukh nigah mein boson ki pyas hai

Nasir Shahzad

Okara, Punjab, Pakistan

1937-2007
bekal hai mukh nigāh meñ bosoñ kī pyaas hai
kuchh to batā tū kis se bichhaḌ kar udaas hai
tasvīr meñ jhukā hai nadī par kadam kā peḌ
paanī meñ pairtā huā but be-libās hai
terī qasam ki tujh ko banā kar matā-e-zīst
ab koī aarzū hai na ab koī aas hai
khultī hai roz shaam ko ik champa.ī dhanak
gaañv ke us makāñ pe jo dariyā ke paas hai
kamre kī shelf par hai sajī budh kī mūrtī
gul-dān meñ chunī huī jañgal kī ghaas hai
dekhūñ tujhe to ruuh kā sahrā sulag uThe
chāhūñ tujhe to terī lagan meñ miThās hai
juuḌe kī qaus meñ guñdhe kuchh māltī ke phuul
saaḌī kī silvaToñ meñ lavandar kī baas hai
Top Urdushayar.com