Nasir Shahzad

chhattis sal ka bhi sannyas chhin kar

Nasir Shahzad

Okara, Punjab, Pakistan

1937-2007
chhattīs saal kā bhī sannyās chhīn kar
ye kaun le gayā mirā ban-bās chhīn kar
ai shāh-e-karbalā mirī imdād ko ab aa
ḳhush hai ġhanīm mujh se mirī pyaas chhīn kar
saaya na ho to dhuup jalātī hai jism ko
tum kyā karoge dhartī se ākās chhīn kar
jiine kī jo umañg thī vo bhī nahīñ rahī
be-ās kar gayā koī har aas chhīn kar
tum ne bujhā.ī bajtī huī bañsiyoñ kī kuuk
mujh se mire vajūd ke taT taas chhīn kar
kuchh to batā maiñ terā gunahgār kab huā
kyuuñ aatmā ko bhrashT kiyā maas chhīn kar
mātam-kunāñ haiñ saare asātīrī vāqiye
tanhā qalam ko kar diyā qirtās chhīn kar
rāvan ne phir judā kiyā siitā ko raam se
phir kalpanā bujhā.ī ga.ī qayās chhīn kar
sanjog jug janam ke hue qat.a alvidā.a
ban ko jalāyā aag ne bū baas chhīn kar
Top Urdushayar.com