tū dard-e-tāza ke unvān kī mahūrat hai
sakhī sakhī mujhe ab bhī tirī zarūrat hai
tujhe guphāoñ kahīñ aab naañv meñ dekhā
azal se ā.īna-dil meñ terī sūrat hai
rakhkhūñ sambhāl ke kab tak ye zindagī tujh bin
tire milan kā sabab hai na koī sūrat hai
siDaul paañv subuk sohnā sajal naañv
nasha-tarāz-badan mohnā madhūrat hai
yahī na tere liye koh kaaTe ban paaTe
tujhe kuchh aur bhī mujh se koī kudūrat hai