dil pe thī sabt jo tahrīr miTā.ī na ga.ī
kis kī tasvīr thī tasvīr bhulā.ī na ga.ī
aa ke us ban meñ mile phir na kabhī do premī
ghaas pagDanDiyoñ se jhiil se kaa.ī na ga.ī
pyaar kī aañch se jal uTThā kañval-kāñt badan
us se sūrat mirī nainoñ meñ chhupā.ī na ga.ī
mujh meñ rach bas ke bhī tū mujh se alag ḳhud se alag
tere jīvan kī amiT-rūp ikaa.ī na ga.ī
TuuTe katboñ ke sivā mil na sakā kuchh bhī magar
is miTe shahr ke Tīloñ kī khudā.ī na ga.ī
raat bhar jal pe girīñ jalte sitāroñ kī laveñ
mujh se chādar koī naddī pe bichā.ī na ga.ī
is ke darshan se milī mujh ko ḳhud apnī pahchān
shakl ik ruuh talak sūrat-e-ā.īna ga.ī