khaḌā juuḌā guñdhī bāloñ kī choTī
dupaTTā za.afrānī zard koTī
shikasta dil ke andar tyaag kī dhan
phaTī patlūn ke nīche lañgoTī
rasīle lab vahī bansī ke uupar
sajīlī chhab vahī kālī-kalūTī
bichhaḌ mat yuuñ ki dil tujh ko bhulā de
kasak rahne de kuchh to chhoTī-moTī
nahīñ aise nahīñ haT chhoḌ mujh ko
tirī niyyat tabī.at se bhī khoTī
mere ajdād bhī hamloñ meñ yaktā
mirā bachcha bhī khele le ke soTī
ruteñ lauTīñ na vo lauTā nagar meñ
churāne shahd makkhan saag roTī
nasīb is ke gagan se bhī kushāda
lakīreñ haath kī sab chhoTī chhoTī
sakhī chimnī pe chiḌiyoñ kā vo joḌā
kare ik dūsre kī tukka boTī