jal bhī milan ke kashT kā thal bhī amiin thā
ye bhī kabhī tirī mirī chāhat kā scene thā
sochā to duur the ka.ī farsañg us ke añg
dekhā to sāmne vo sitāra-jabīn thā
ik arsh thā jhukā huā girne ko sū-e-farsh
ik jism-e-sad-shigāf sar-e-sat.h-e-zīn thā
faT.hoñ se ham-kanār bayābāñ meñ be-mazār
tū ma.anī-e-mubīn tū tashrīh-e-dīn thā
din-sin the sājnā kī girah meñ bañdhe hue
pahlū meñ prīTmā ke ye jīvan rahīn thā
jab ruuh thī barahna to phir jism par libās
zāhir thā maiñ to kis liye parda nashīn thā
khīñchā to mauj-e-mil use bhīñchā to barg-e-gul
vo kāñch se matīn kiran se mahīn thā
nīche gagan ke nīl-kañval khetiyoñ meñ hal
parbat piyā ke bal mirā siina zamīn thā
sadqoñ bhare sabāt the rassī meñ chand haath
neze pe ek sar ki sarāpā yaqīn thā