Nasir Shahzad

log the kya jo azalon se mushtaq hue

Nasir Shahzad

Okara, Punjab, Pakistan

1937-2007
log the kyā jo azaloñ se mushtāq hue
dasht meñ sar kaTvā.e sīna-chāk hue
kaisā kumba thā vo jis ke bachche bhī
pair ke ḳhaak aur ḳhuun kā dariyā paak hue
ḳhurme ke ik peḌ ne dekhī saarī kathā
mushk phaTī jab jism se baazū aaq hue
añgūroñ ke jhunD meñ mīThā jharnā tū
tujh par miTne vaale ḳhush-idrāk hue
avval din jitne va.ade the qarz liye
āḳhir din karbal meñ sab bebāk hue
kitnī chīḳheñ sadiyoñ kī tahvīl meñ gum
kitne ḳheme aag meñ jal kar ḳhaak hue
aap ne zahr-bujhī teġheñ khā.īñ aur aap
tārīḳhoñ kī satroñ meñ tiryāq hue
kānoñ se āveze utre haq Thahrā
nezoñ par sar hākim kī imlāk hue
mātam kī mazmūm ghaḌī jab aa pahuñchī
kuchh aañsū ā.īne kuchh aurāq hue
Top Urdushayar.com