abr nāriyal naddī rāste pe maiñ aur tū
aatmā ko kalpā.e ko.eloñ kī kū hū kū
kuufa tere kūchoñ se apnā kārvāñ guzrā
sar savār nezoñ par qibla-rū sitāra-jū
yā darūn-e-afsāna terī merī chaap ubhre
madh-milan kī rātoñ meñ yā jaleñ bujhīñ jugnū
roz-e-āfrīnash se apnī ham-qadam sajnī
panchhiyoñ kī chahkāreñ bañsiyoñ kī hāv-hū
rāhguzār paraggyāñ tū mile sadā sayyāñ
kar gayā hai be-qābū tere pyaar kā jaadū
gaat par sharārat se phūltī huī purvā
bhed aur bhītar meñ jhūltī huī ḳhushbū
pīchhe pīchhe shahzāda biitī dāstānoñ meñ
aage aage ghoḌe ke bhāgtā huā aahū
moḌ ik kahānī kā sach kī pāsbānī kā
al-atash kī āvāzeñ dasht meñ kinār-e-jū