Nasir Shahzad

aur ant mein judai baDi karb-nak hai

Nasir Shahzad

Okara, Punjab, Pakistan

1937-2007
aur ant meñ judā.ī baḌī karb-nāk hai
tujh mujh meñ yuuñ to roz-e-azal se vifāq hai
nīche kahīñ badan meñ miTī ḳhvāhishoñ ke ḳhvāb
uupar darāzī-e-ġham-e-daurāñ kī ḳhaak hai
sakhiyāñ sajīlī bhor nayan darpnā kī or
ānand por por ajab inhimāk hai
qiloñ ke ye hisār nahīñ qurbatoñ ke dayār
in burjiyoñ ke paar havā-e-firāq hai
nyāre piyā ke ruup kahīñ gun kahīñ sarūp
mathurā kā bādshāh kahīñ bhaiñsoñ kā chaak hai
ye rājdhāniyāñ yahāñ be-bas kahāniyāñ
kañgan meñ haath hai kahīñ nathlī meñ naak hai
mīThā miThās se hai vo ujlā kapās se
bātoñ meñ ishtirāk milan meñ tapāk hai
miTTī kī sab sifārateñ bandhan bashārateñ
sabza nadī kināroñ mazāroñ pe aak hai
haq-goī ham-rikāb darīda-badan ke baab
karbal kitāb sidq siyāq-o-sabāq hai
Top Urdushayar.com