dhun nahīñ koī mudda.ā kaisā
dil huā dekh be-sadā kaisā
merī tausīf saal sadiyāñ sanā
meñ nahīñ jab to phir ḳhudā kaisā
lift khambe tū aur maiñ peḌ pahāḌ
vaqt vaadī meñ jam gayā kaisā
dūsroñ kī kahī-sunī pe na jā
tū batā tujh se maiñ rahā kaisā
shab kī shab saath phir na bol na baat
kyā kahūñ hai vo sāñvrā kaisā
maiñ tujhī meñ nihāñ tujhī pe ayaañ
maiñ huuñ maujūd māvarā kaisā
rañg meñ baas añg umañg meñ pyaas
phuul hī hai vo phuul sā kaisā
sāmne sach ke karbalā-o-damishq
kalima-e-haq pe aur sila kaisā
do alag bañs purkh-pat birhā
ab tire sañg silsila kaisā
kohar kohsār raat terā saath
chāñd niklā nayā nayā kaisā
aarzū ik janam maran yakjā
mujh meñ tujh meñ thā rābta kaisā
zulm mansab sabhī kā tū ho ki maiñ
luuñ yahāñ haqq-e-ḳhūñ-bahā kaisā
dhaḌke pal chhan sajan salone bin
dil hai be-dard bāñvarā kaisā