rut ne rivāyat ke ruḳh badle har mas.ūd sa.uud gayā
sadqoñ se mafqūd hue dil ma.abad se ma.abūd gayā
do fasleñ do naddī kināre aapas meñ kyā un kā rishta
ghar meñ girī jab imlī pak kar baaġh se tab amrūd gayā
maut mohabbat kī var-mālā chitā svayamvar aag doshālā
pyaar piyā kī priit kā pyāsā naar anhār meñ kuud gayā
chāTī aur chūlhā sab auñdhe be-masraf baiThī hai gorī
bhor bha.e bastī se bik kar shahr kī jānib duudh gayā
chhoḌ ke kavitā kyā kuchh paayā dost tujhe aur naam gañvāyā
ye din ye sin hue akārat ye jīvan be-sūd gayā
rañg dukānoñ kī ra.anā.ī ḳhushbū dargāhoñ kī zīnat
zulf-e-mo.ambar ab ban ambar sej suhāg se uud gayā
sakhiyāñ sañgat dahī pakauḌe haalī khetiyāñ khaad ke toḌe
duur talak in qariyoñ qasboñ barkhā rutoñ kā ruud gayā