Nasir Shahzad

aur safar lamba hua har gam par

Nasir Shahzad

Okara, Punjab, Pakistan

1937-2007
aur safar lambā huā har gaam par
thak ke jab baiThe kabūtar baam par
aa sakhī dohrā.eñ phir bachpan ke din
aa sakhī Dāleñ hiñDole aam par
ye alag daftar meñ jā kar gum hue
ḳhair se lag to ga.e vo kaam par
ek kaaTā raam ne siitā ke saath
dūsrā ban-bās mere naam par
gyārahvīñ ke chāñd to chamkā to thā
shaah ke luTte hue ḳhayyām par
bāñdh mat juuḌe meñ ulTe haath se
tū ba-zid hai to ye gajre thaam par
maas kī jab pyaas nirgun hai sakhī
gopiyāñ shaidā huiiñ kyuuñ shyām par
in gulāboñ par sadā ye titliyāñ
nit kareñ bisrām jhoñke paam par
ham-safar ye tū ye maiñ ye taT ye jhiil
phuul vāreñ is anokhī shaam par
pahle jo thī mehrbāñ ham sab kī maañ
ab vahī dhartī hai biktī daam par
shab Dhalī uThne lage hotel se log
chaa.e kā ye daur is ke naam par
Top Urdushayar.com