Nasir Shahzad

suna laga baghair tere mujhko sara ghar

Nasir Shahzad

Okara, Punjab, Pakistan

1937-2007
suunā lagā baġhair tire mujh ko saarā ghar
beleñ chaḌhīñ gulāb kī jab bath-rōm par
uupar vo gaañv nīche luḌhaktī Dhalān par
masjid ko sajda-rez ḳhamīda sī ik Dagar
kin uljhanoñ meñ bachche ko paḌhvā.ī nursery
kin koshishoñ se tai huā ik saal ik safar
aaTā bhī ghī bhī ghar bhī yahāñ qīmatan mileñ
kyuuñ aa gayā maiñ shahr meñ gaañv ko chhoḌ kar
lau de vo kalpanā kahīñ jag darpanā ke dvaar
barsoñ rukeñ idhar kahīñ sarsoñ jhukeñ udhar
terā milan zarūr bhī dastūr bhī sahī
paḌtī haiñ rāste meñ chanābeñ bahut magar
taz.īn bhī zamīn bhī sab kuchh isī meñ hai
mukh boltā qamar kasālik Doltī lagar
chiḌiyoñ kā shor chūlhoñ se uThte dhueñ kī kor
sub.hoñ ke sab suhāg, havā, par, sadā, gajar
ham bandhanoñ ke biir piyā parān meñ sarīr
merī vahī Dagar sakhī merā vahī nagar
chhalke surūr gaat se ānand haath se
de rī sakhī ḳhabar gayā gāgar ko kaun bhar
donoñ tapasyā tyaag haiñ donoñ birah bahāg
shubh shyām dil ke dar kahīñ hirdai ke biich 'har'
Top Urdushayar.com