Nasir Shahzad

yaKH-basta ThanDakon mein ujala jaDa hua

Nasir Shahzad

Okara, Punjab, Pakistan

1937-2007
yaḳh-basta ThanDakoñ meñ ujālā jaḌā huā
kohre ke saath raah pe kuuḌā paḌā huā
ab bhī buland-tar haiñ sipāh-e-ḳhudā ke sar
parcham hai ab bhī chob-e-alam par chaḌhā huā
namrūd kī chitā kahīñ paaTā hai karbalā
har jug meñ imtihān hamārā kaḌā huā
be-ābrū hai fan abhī āvāz be-badan
sar par abhī hai hijr kā bādal khaḌā huā
chāhat kī intihā kabhī terī mirī vafā
ijrā kā mājrā kabhī kachchā ghaḌā huā
kuchh ḳhvāb kuchh gulāb the chehre ke ās-pās
dekhā tujhe to hausla dil ko baḌā huā
jug jīvanoñ se ruuh tirī ruuh meñ nihāñ
jug jīvanoñ se dil tire dil se uḌā huā
dilbar ke darshnā se daraktī huī nazar
akhiyoñ saḌī salkhiyoñ ko nashsha laḌā huā
chipkī thī pañkhuḌī koī us lab se ek shab
aamoñ kā baur thā sar-e-gesū jhaḌā huā
Top Urdushayar.com