Nasir Shahzad

paran piritam pe war kar dekho

Nasir Shahzad

Okara, Punjab, Pakistan

1937-2007
parān pirītam pe vaar kar dekho
sar se gaThrī utaar kar dekho
vo yam-e-zāt ho ki rūd-e-furāt
koī dariyā to paar kar dekho
puus kī os se badan dho kar
maas ko mushk-bār kar dekho
mushk thā mū-burīda hāthoñ se
sar ko kāñdhoñ pe baar kar dekho
suno jañgal meñ panchhiyoñ kī sadā
bahte dariyā se pyaar kar dekho
oḌh kar tan pe tishnagī kī ridā
man ko mohan ke dvaar kar dekho
ho ke miTTī miTo sajan ke liye
mar ke marqad nikhār kar dekho
utro bachpan ke nardbāñ se phir
ban meñ chiḌiyoñ ko maar kar dekho
karbalā ke jarī jiyāle log
ḳhud ko un meñ shumār kar dekho
ma.arifat kyā hai jaan jāoge
is pe tan man nisār kar dekho
lab pe āvāz-e-haq rahe qaa.em
jañg jiito ki haar kar dekho
qayās ban-bās sab saphal hoñge
saada ko sudh siñghār kar dekho
māñgo shabbīr kī shanāsā.ī
ġham pe mat inhisār kar dekho
Top Urdushayar.com